PBKS vs RR: Kya Samson Ki Wapsi se Badlegi Rajasthan Royals ki Kismet?
IPL 2025 ka 18th match kaafi interesting hone vala he. PBKS vs RR match isliye interesting hone vala he kyu ki currently, PBKS points table pe top pe he, vahi dusri aur, RR ki team second last pe yaani ki 9th number pe he. Abi tak PBKS ne 2 mese 2 matches jite he, vahi RR ne 3 me se sirf 1 match jita he aur 2 match me unko haar ka samna karna pada he.
Halaki PBKS vs RR match me Sanju Samson ki as captain or weeketkeeper vapsi ho rahi he. RR ke liye ek acchi khabar he. Is match se Sanju Samson RR ki captainship karne vale he. So ab dekhna ye he ki kya RR Sanju ki kaptani me comebackkar payegi? PBKS vs RR match 5th April ko Yadavindra Singh Stadium, Mullanpur me khela jayega.
Samson ki as captain vapsi
Bina Sanju Samson ke RR team adhuri lag rahi thi. Pehle 3 matches me Sanju ne sirf as Impact player batting kari thi. Sanju Samson ko right index finger ki injury ki vajah se weeketkeeping se dur rehna pada tha.
India vs England T20I series ke dauran Jofra Archer ke ek bouncer ne unke finger ko chot pahunchayi thi. Sanju ne IPL 2025 ke pehle 3 matches me batting to kari, par sirf 1 inning me vo 66 runs akr paaye. Baki ke 2 matches me unka pradarshan kuch khas nhi raha. Injury ki vajah se unko fielding se bhi dur rehna pada.
Lekin ab National cricket association (NCA) ne unhe fully fit jahir kar diya he. Ye news RR ke management ke liye kaafi mahatvapurna he, kyuki isse team ko ek boost milega.
Riyan Parag ki Leadership
Sanju Samson ki absense ke Riyan Parag ko RR team ka captain banaya gaya tha. Riyan Parag domestic level pe kaafi successful rahe, halaki IPL 2025 ki 3 matches me unka pradarshan as captain kaafi kamjor raha. RR ke SRH aur KKr ke samne back to mack matches haare, jinki badaulat team ko points table me 9th position mili.
Riyan Parag ne individual taur pe kaafi achha pradarshan kiya he, lekin as a captain vo kuch khaas safal nhi rahe. Sanju Samson ki as captain team me vapsi ki vajah se ab RR team ko confidence mil sakta he.
Punjab Kings ko Home Advantage?
PBKS team ki baat ki jaye to abhi tak team ka pradarshan kaafi achha raha he. Team me naye chehro ko launch karke IPL 2025 me PBKS ne kaafi impressive performances diye he. PBKS ki team me Nehal Wadhera, Harnoor Singh, Josh Inglis jese young players he, sath me Maxwell, Stoinis, aur Yuzvendra Chahal jese experienced players ki vahaj se team me balance najar aata he.
PBKS vs RR match Mullanpur me kheli jayegi, jiska Punjab ko advantage range kyuki Mullanpur PBKS team ka homegrouand he. PBKS ke pass Maxwell jese visphotak baallebaj he lekin abhi tak unke balle se kuch khas runs nhi nikle he.
PBKS vs RR Match Ka Pitch aur Conditions
Vese Maharaja Yadavindra Singh Stadium, Mullanpur Chandigarh ek naya stadium he, lekin ab IPL 2025 ke regular matches ke liye vo ek imortant venue ban chuka he. Is ground pe evening matches mein dew factor ka kafi impact rehta he.
Is ground pe toss karke koi bhi team chase karna pasand karegi. Sanju Samson ki captainiship ke under jitne ke liye ye match ek perfect situation he. Sanju Samson pitch ko achhese read kar sakte he, bowlers ko achhese use karte he aur apni dhamakedar batting se game changer bhi ban sakte he.
RR ke Key Players
- Sanju Samson (Captain) – Ab full fit hain, wicketkeeping bhi karenge, aur top-order mein solid run de sakte hain.
- Yashasvi Jaiswal – Left-hand opener, powerplay mein impact player. Is match mein big knock ki umeed.
- Shimron Hetmyer – Death overs ka specialist. Agar 15th over tak wicket bacha liya, toh Hetmyer fireworks laa sakta hai.
- Jofra Archer – Injury ke baad wapas aaye hain. Ek aur bouncer, ek aur headline?
PBKS ke Key Players: Kaun denge RR ko takkar?
- Shreyas Iyer – Middle-order anchor, spin ke against strong. Agar Chahal bowling karein, to yeh contest interesting hoga.
- Glenn Maxwell – X-factor. Kabhi kabhi flop, lekin jab chalte hain toh match akela jeet lete hain.
- Arshdeep Singh – Death bowling ka king. Yorker aur slower balls ke master.
- Yuzvendra Chahal – Against his former franchise RR, woh kuch special karne ke mood mein honge.
Kya Expect Karein Is Match Se?
- Close Contest – Dono teams me match-winners hain. Agar Samson ne apni form aur captaincy dono dikha di, toh RR strong lagegi.
- Young Talent Showdown – Wadhera vs Jaiswal, Riyan vs Musheer – India ke future stars face-off Karenge.
- Strategic Tussle – Samson vs Maxwell, Jofra vs Iyer – pitch pe plans aur execution ka asli test hoga.
Ye match kafimazedar hone vala he. Starexch pe match ka winner prediction karke ise aap aur bhi interesting bana sakte ho. Starexch pe Lakho gamers winners predict karke cash rewards jit rahe he. Abhi aapki baari he. To fir der kis baat ki, abhi sign up kare.
Antim Shabd
PBKS vs RR match RR ke liye kaafi mahatvapurna he. Is match me Sanju Samson ki vapsi hone ki vajah se RR team kaafi balanced lag rahi he. Team ko fir se ek disha milegi, aur fans ko ek umeed – ki TATA IPL 2025 mein ab unki team kuch khas kar sakti hai.
April 5 ka yeh match, sirf ek aur league game nahi hoga – yeh hoga ek naya turning point. Kya Samson wapas aake Rajasthan ki rassi kheech paayenge? Ya Punjab apne home ground pe dhamaka karega?
Kahani interesting ban chuki hai. Toss se lekar last over tak, cricket ka asli maza aane wala hai.
FAQs
Q1: Kya Sanju Samson PBKS vs RR match me as captain khelenge?
A: Haan, Sanju Samson ab fully fit hain aur wicketkeeping + captaincy dono sambhalenge.
Q2. RR vs PBKS ka match kahaan aur kitne baje hoga?
A: RR vs PBKS Match Mullanpur, Chandigarh ke Maharaja Yadavindra Singh Stadium mein 7:30 PM IST se hoga, April 5 ko.
Q3. Rajasthan Royals ne IPL 2025 mein kitne matches jeete hain ab tak?
A: Rajasthan Royals Ab tak 3 matches mein se sirf 1 match jeeta hai, 2 mein haar mili hai.
Q4. Kaun se players RR aur PBKS ke liye game-changers ho sakte hain?
A: RR ke liye Samson, Jaiswal, Archer; PBKS ke liye Maxwell, Shreyas Iyer, Arshdeep Singh.